Aao Sochein Zara, Aao Dekhein Zara

aao sochein zara, aao dekhein zara

ham ne konsa ghalt morh kaat lia he?
mere shehron ko kis ki nazar lag gai
meri galiyun ki ronaq kahan kho gai
roshani bujh gai
agahi so gai
ham to niklay thay hathon mein sooraj liye
raat kyun ho gai, raat kyun ho gai
musaafran e seher
ham se kyun roshani ne yeh perda kya?
kyun andheron se raston pe saaya kya?
aao sochein zara
aagahi se parey,roshani ke bina
jitnay imkaan he sare mer jaaein ge
jo bhi takhleeq he wo bikher jaaey gi
zindagi apne chehre se der jaey gi
musaafran e seher!!
aao sochein zara, aao dekhein zara
kon sa morh ham se ghalt katt gaya
phool rut mein khazaan kis tarah chaa gai
beech kya bo gai?
ham to niklay thay hathon mien sooraj liye
raat kyun ho gai!!
raat kyun ho gai?