Mashriq e Wustaa: Teesri aalmi jang ka medan


Read online/Download 


Mashriq e Wustaa: Teesri aalmi jang ka medan

Ahadees se to yeh bat sarahat se maloom hoti hi he keh in jangon ka medan mashriq e wusta
bane ga, aalmi halaat aur waqiaat bhi aik arsa se isi janib ishara ker rehe hein keh aainda jang e azzeem yeni is sadi ki teesi aalamgir jang europe mein nahi, mashriq e wusta mein lari jaey gi. ab zahir he keh is ilaqe mein mojud ummat e muslimah yeni ummat e Muhammad S.A.W.W. ka afzal ter hissa yeni "ummiyeen" ya arab musulman to choda so bers se aabad hein hi, is sadi ke aaghaz se sabqa aur mazool shuda ummat e muslimah yeni yahudiyon ki bhi az sar e no abad kaari zor shor ke sath shiru ho gai thi, jo anqareeb apne climax ko pohanch jaey gi aur poori dunya se tamam yahudi kashaan kashaan yahin aa ker aabad ho jaein ge. chunache in azeem jangon ya silsila e malaham ke zariye holnaak tabahi ki soorat mein Allah ke qanoon e azaab e mutabiq shadeed tareen kore in hi donon per parein ge. laikin in ke mabain bilaakhir aik azeem farq o tafawut zahir ho ga. yeni sabiqa mazzol, maghzoob aur mal'oon ummar yahud per to Allah ke is "azab e akbar" ke faisle ka nafaz hoga jis ki mustaghiq wo hazrat Masih A.S.
ki risalat ke inkar aur Anjanab A.S. ko apne bas perte sooli per cherhwa dene ki bina per ab se do hazar bars qabal ho chuki thi laikin jis ke nifaz ko aik khas sabab se muakhir ker diya gya tha, chunache ab se isay in hi hazar Masih A.S. ke zaiye aur musulmanon ke hathon nasyan mansiyya aur neest o nabood ker diya jaey ga. bilkul jaise hazraat Nooh, Hood, Salih, Loot aur Shuaib A.S. ki aqwaam aur aal e firaun apni apni janib baije jane wale rasoolon ki nigahon ke samne halak ho gaey thay. laikin is ke bar aks chunke mojuda ummar e muslima Allah ke aakhri Rasool S.A.W.W. ki ummat he aur AnHazoor S.A.W.W. ke qaul ke mutabiq khud aakhri ummat ki hesiyat rakhti he, mazeed baraan wo sirf aik nasal per mushtamil nahi balkeh "Multi national" ummat he, lehaza isay is ke jaraim ke baqadar saza dene ke bad toba ki tofeeq aur islaah ka moqa inayat ker diya jaey ga, jis se Islam ki nashaq e saniya aur Deen e Haq ka dor e sani shiru hoga jo is bar poore aalam e insani aur kul ru e arzi ko muheet hoga, jis ki sareeh aur waze khabrein di hein janab Sadiq o Masdooq S.A.W.W. ne.
aankh jo kuch dekhti he lab pe aa sakta nahi
mehw e khairat hoon keh dunya kia se kia ho jaey gi!




No comments:

Post a Comment