what ever you see in the world of colour
what ever you see in the world of colur
and scent Out of whose soil springs the plant of desire
is either already illumined by the light of
Prophet Muhammad (PBUH) or is still seeking and moving
towards him (and his guidance)
Allam Iqbal
the sky will shine mirror-like with the morning's light
the sky will shine mirror-like with the morning's light
and the might's darkness will be speeding away!
the hearts will again recall the message of prostrations
the forheads will become acquainted with the Harem's dust
whatever the eye is seeig cannot be described by the lips
i am lost in amazement as to what the world will become!
the light will eventually disappear by sun's appearance
this garden will be filled with the light of Tawheed!
Allama Iqbal
aey shabnam ki tarah zameen per girne wale musulman
aey shabnam ki tarah zameen per girne wale musulman
aey shabnam ki tarah zameen per girne wale musulman!
aagah ho keh Quran teri baghal mein he
jo zinda kitab he
apna hisab kero is se pehle keh tumhara hisab kiya jaey
apna hisab kero is se pehle keh tumhara hisab kiya jaey
kia aaj mein ne...
Allah ko yaad kiya
Allah se apni zarooret ki cheezein maangi
Allah se apne gunahon ki mua'afi talab ki
Allah ki aata kerda ne'maton per shukar ada kiya
Allah ka ziker kiya
Muhammad SAWW per durood o salam bheja
maut ko yad kiya
jahanum ko yad ker k us se panah maangi
jannat ko yad ker ke us mein dakhle ki dua ki
apne gher walon aur rishtedaron ke lie dua ki
Allah ki kitab Quran Majeed ki tilawat ki,tilawat suni,terjuma perha aur isay samjha
apne ander paai janewali buraiyun per qaboo pane ki koshish ki
apne kapron ki safai rakhi
apni cheezon ko terteeb se rakha
fazool baton se bachne ki koshish ki
panch waqt namaz perhi aur yeh kefiyyat peda keh Allah mujhe dekh raha he
Ilam hasil kiya
subah o jaldi jaga aur rat ko jaldi soya
deen ki koi chiz hifz kerne ki koshish ki (duaein,Hadees,Quran)
there is no book in the world..
"there is no book in the world in whose service so much talent
so much labour,so much time and money has been expended as has
been the case with the Quran
(Allama Abdullah Yuduf Ali)
naiki ker is se pehle keh...
naiki ker is se pehle keh aawaz aaey keh
fulaan shakhs ab nahi raha
us din wo (Allah) tumhein bata de ga
jo tum amal kiya kerte thay
Allah ki nishaniyaan
insan ke ander aur baahir Allah ki be shumaar nishaniyaan mojood hein
aur un ki fitrat unhein baar baar dawat e fiker deti he
khol aankh zameen dekh, falak dekh, fiza dekh!
mashirq se ubherte huwe sooraj ko zara dekh!
magar lau shehwaat e nafsaani ke chakron mein is had tak ghaltaan o paichaan hein
keh unhein aankh khol ker aafaaq mein bikheri huwi in laa ta'adad
Allah ki aayat ko dekhne ki fursat he na tofeeq.
abhi sote raho bhai, abhi kuch der baqi he
abhi kuch der baqi he!
abhi sote raho bhaai
abhi se kyun preshan ho?
abhi be rozgari ne
tumhare der peh dastak bhi nahi di he
tumhare bachay ki botel mein, ab tak doodh baqi he
tumhare gher mien rashan he, abhi faqay nahi hote
tumhare ahl e khana raat ko bhooke nahi sote
abhi sote raho bhai!
abhi se kyun preshan ho?
tumhara kuch nahi bigrha
tumhari walida hein mohtram ab bhi
keh un ki koi shab ab tak nahi guzari thaane mein!
tumhari behn ko ab tak koi "kaari" nahi kehta
shareek e zindagi ke khilte chehre per, kisi zaalim ne kab tezaab phenka he?
na dukhter naik akhter ne abhi tak ijtemaai ziadti ka kurb
jheela he
abhi sote raho bhaai!
abhi se kyun preshan ho?
tumhara kuch nahi bighra
bataao, kya kabhi lakht ejigar aghwa hua he
aur kabhi tum se kisi ne aaj tak tawan maanga he?
dhamake hote rehte hein magar ab tak
tumhara bhaai masjid se bakher o aafiyyat gher pohanch aata he
bhatija ab bhi in galiyun mein khelta aur khilata he
aur ab tak to kisi ne bhi usay ulata nahi taanga
na uski laash galiyun mein gaseeti he
abhi sote raho bhaai!
abhi se kyun preshan ho?
tumhara kuch nahi bighra
abhi se zulm ke afriyyat mein aur tum mein
thora fasla he!
aur abhi tum tak pohanchne mein
usay kuch waqt lagta he
abhi sote raho bhaai!
abhi kuch der baaqi he!!
kia aap apne eeman mein izafa chahte hein?
kia aap apne eeman mein izafa chahte hein?
agar haan...to phir kholein aur parhein apna Allah ke kalam ko
wo jins nahi eeman jisay le aaein dukan e falsafa se
dhoonde se milay gi qaari ko yeh quraan ke seeparon mien
hamein apne asoolon aur bunyaadon ki terf lautna hoga
yeh aik haqeeqat he keh jab tak kisi qaum ka apne aqeede aur nazriyye,apni bunyadon
aur asoolon se gehra taaluq rehe ga wo qaum us waqt tak kisi ki ghulam nahi ban sakti
dunya ki koi bhi qaum usi waqt apna wajud qaim rakh sakti he
jab tak iska apne afkar o nazriyat, aqeede aur asoolon ke sath gehra taaluq rehta he
kisi nazriyye aur aqeede ke bagher koi bhi qaum us qafile ki tarah hoti he
jo daakuon ke hathon lutne ke bad, sehra mein heran o preshan bhatakta phir raha ho
aur aise qafile ki bad naseebi yeh hoti he keh yeh her rahzan ko rahber samajh ker us
ke peeche chalna shiru ker deta he. bar bar dhoka khane ke bad bhi in ka yahi khyal hota he keh is bar inka safar sahih simat ho raha he. is tarah yeh qafila is waqt tak
bhatakta hi rehta he jab tak yeh qafile wale is raste ke pata nahi
chala lete kahan un ko loota gya tha.
chunacheh... agar aaj bhi ham apni manzil ko pana chahte hein aur halat ko darust
andaz mein samajhne chahte hein to hamein apne asoolon aur bunyaadon ki terf
lautna ho ga, jab tak ham Quran o Hadees ki terf nahi lautein ge,
tab tak ham soorat e haal ko bhi nahi samajh sakte
Ham kis ki baat maan rehe hein
kufr ki batein kerna,Islam ke khilaf batein kerna,logon ko deen se door kerna shetan ka agenda he
be hayai ki batein kerna,fahashi ki batein kerna,uryaani ki batein kerna
is sab ko promote kerna shetan ka agenda he
Haq bayan ho, kitab o sunnat per amal ho, yeh Allah ka hukam he
iffat ki baat ho,pakeezgi ki bat ho,haya ki bat ho, yeh Allah ka hukam he
ham kis ki bat maan rehe hein?
shetan ki ya Rehman ki?
kal ham Allah ko kya jawab dein ge?
hamare aamal se kya lagta he...
ham HizbULLAH mein se hein ya hizbushetan mein se hein?
ham Allah ki party mein hein ya shetan ki party mein hein?
kia yeh momin ki shaan ho sakti he?
kia aik momin aisa ho sakta he..
keh namaz ke lie aaya aur sajde mein Allah ke samne gya
AllahuAkbar keh raha he
laikin bahir nikal ker concert mein ja ker khara ho jaey?
- Subah Quraan Pak ki tilawat bhi kerta he
aur zuban per Allah ka ziker bhi jari rehta he
laikin gaane bhi sunta he?
Kia Yeh Momin Ki Shan Ho Sakti He?
Quraan ka pegham un sab ke naam
bult proof garhiyaan to ho sakti hein laikin
malkul maut proof garhi kabhi eejad nahi ho sakti
jo laug yeh samajhte hein keh yeh bullet proof garhiyaan unki hifazat
ke lie kaafi hein
Quran ke pegham un sab ke naam
"tum jahan kahin bhi ho,maut tumhe paa le gi agercheh tum ho mazboot qal'on mein" An Nisa 78
kiya hamare dil mein kabhi iska ehsas tak bhi hua?
ager gher mein kisi bachay se aik glass bhi toor jaey to
kitna ghussa aata he
laikin
dunya mein Allah ke kitne ahkamaat pamaal ho rehe hein
Allah ke qanoon ki dhajjiyaan bakheri ja rahi hein
kiya kabhi hamare dil mein iska ehsas tak bhi hua?