yeh aik haqeeqat he keh jab tak kisi qaum ka apne aqeede aur nazriyye,apni bunyadon
aur asoolon se gehra taaluq rehe ga wo qaum us waqt tak kisi ki ghulam nahi ban sakti
dunya ki koi bhi qaum usi waqt apna wajud qaim rakh sakti he
jab tak iska apne afkar o nazriyat, aqeede aur asoolon ke sath gehra taaluq rehta he
kisi nazriyye aur aqeede ke bagher koi bhi qaum us qafile ki tarah hoti he
jo daakuon ke hathon lutne ke bad, sehra mein heran o preshan bhatakta phir raha ho
aur aise qafile ki bad naseebi yeh hoti he keh yeh her rahzan ko rahber samajh ker us
ke peeche chalna shiru ker deta he. bar bar dhoka khane ke bad bhi in ka yahi khyal hota he keh is bar inka safar sahih simat ho raha he. is tarah yeh qafila is waqt tak
bhatakta hi rehta he jab tak yeh qafile wale is raste ke pata nahi
chala lete kahan un ko loota gya tha.
chunacheh... agar aaj bhi ham apni manzil ko pana chahte hein aur halat ko darust
andaz mein samajhne chahte hein to hamein apne asoolon aur bunyaadon ki terf
lautna ho ga, jab tak ham Quran o Hadees ki terf nahi lautein ge,
tab tak ham soorat e haal ko bhi nahi samajh sakte