حضرت ابو ہریرہ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:"لذتوں کو کاٹنے والی کو بہت یاد کرو۔" رواہ الترمذی

Quran Majeed ki usooli batein


Quran e Kareem ki usooli batein
Professor Dr umar bin Abdullah
Terjuma: Abu AbdurRehman shabeer bin nor
Muqaddama
Alhamdulilah ke bad meri kitab “Qawaid e Quraniyah” kai bar shaiyaa ho chuki he. Zer nazar kitab isi ka khulasa he, jise qareen karam ki khidmat mein paish ker raha hun. Kyun keh kai hazrat ne bar bar mutabla kia keh asal kitab ko mukhtasir kia jaey, ta ke isay masajid mein perhne mein aasani ho, aur jo zubanein musulman bolte hein un zubano mein is ka terjuma kia ja sake. Aur is lie bhi ikhtisar ker dia keh asal kitab mein baaz lambi lambi tafseelat hein, maslan lughat aur balaghat se mutalqa behsein hein, jisay sirf arbi ka mahir hi samajh sakta he, ya phir jo shakhs maani mein tafseelat ka khawahish mand ho wo samjh sakta he. Albatah qawaid e Quraniya mein bayan hone wali misalon mein se chand aik ko zaroor zikr ker diya he.
Jo shakhs hawalon ke bare mein tasalli kerna chahe mein usay asal kitab dekhne ka meshwera doon ga, zer e nazar kitab mein tafseeli hawalon ko bhi hazaf ker diya he, albatah ahadees ke hawalon ko ikhtasar ke sath bayan ker diya he.
Allah tala ki janab mein iltija kerta hoon keh meri mehnat ko qabool ferma le, aur job hi is ko perhe aur is ko aam kerne mein hissa dale, in sab ko nafa pohanchaey. WALHAMDULILAHI RABIL AALEMEEN
Dr umar bin Abdullah

Pehla asool:
Aur logon se achi baat karo!
jaisa keh bayan kia jata he, mil jul ker rehna insane ki fitrat ka hissa he aur rozana mukhtalif qisam ke mamlaat ko nimtane ki khatir logon se milna us ki majburi he. Aur un logon ki aqal o samajh aur akhlaq bhi mukhtalif hote hein. Chuna che kabhi achi bat sunta he aur kabhi buri, aur kabhi aisi bat sun’ni perti he jis se us ko ghussa aa jata he. Aise moqa pe zer nazar asool ki zaruret paish aati he (aur logon se achi bat kero) ta keh zuban se mutalqa mamlaat ko qabu mein laya ja sake.
Is asool ko Quran e kareem mein kai jagah takrar ke sath zikar kia gya he. Aik jagah Allah Tala ne fermaya:
“aur mere bandon se keh dijiye keh wo buhat hi achi bat munh se nikalein.”
Aur isi ke qareeb tareen Allah Tala ka yeh hukam he keh ahl e kitab se bhi behs o mubahsa ho to umda tareeqe se kero. Chuna che Allah Tala ne fermaya:
“aur ahl e kitab ke sath behs o mubahsa na kero, magar is tareeqa se jo umda ho, siwae un ke jo un mein zalim hein.” Sura Al Ankabut
Chuna che Allah Tala ke yeh ferman “aur logon se achi bat kero.” Bani Israil ko jo mutadid ahkam diye gaey is ziman mein yeh hukam aaya tha.
Surah Albaqa Madni surat he, jabkeh is se pehle Makki surat mein yeh umoomi hukam bain alfaz aa chuka tha “aur mere bandon se keh dijiye keh wo buhat hi achi bat munh se nikalein.” Surah Bani Israel
Ab hamare samne mazboot aur wazeh ahkam hein, in mein se kisi chiz ko mustasna nahi kia ja sakta, albatah ahl e kitab ka maamla alag he keh behs o mubahsa ki surat mein in se sakht bat ki ja sakti he, jis ki tafseel o daleel guzar chuki he.
Hamein is qaide ki aksar zaruret rehti he, bil khasus jab hamein mamlaat nimtane mein mukhtalif qisam ke logon se wasta perta rehta he, in mein musulman bhi hote hein aur kafir bhi, ache bhi hote hein aur bure bhi, koi bara hota he aur koi chota. Balkeh achi bat ki to hamein apne qareebi rishta daron se mamla kerte waqt hamesha zaruret rehti he, jaise keh waldain, khawand, biwi aur aulaad, hatta keh jo mulazim waghera hamari khidmat ker rehe hote hein un ke sath bhi achi bat ki zaruret rehti he.
Aey Momin! Jab tum Quran ka mutalia kero ge to tumhein buhat sare mawaqe per nazar aaey ga keh Quran ne is amar ki takeed ki he. Is qaide ki chand misalein mulahiza fermaein:
1)      Waldain ke sath mamla kerte waqt:
“….aur na inhein dant dapat kerna, balkeh in ke sath adab o ahtram ke sath bat cheet kerna.” (Bani Israil)
2)      Zaruret mand mangne wale se bat cheet kerte waqt. Fermaya:
“aur na sail ko dant dapat kerna.”
3)      Jab insane ke palle aise log per jaein jin mein adab o ahtram ki kami ho. Allah Tala ne fermaya:
“aur jab kam ilam log un se bat kerne lagein to wo keh dete hein keh salam he!”
(Al Furqan)
Yeni wo log ahl e jahalat aur kam aqal logon se munh pher lete hein, ya phir ache lafzon se jawab dete hein. Aisa nahi he keh wo jawab nahi de sakte, balkeh is tarah ki behson mein per ker apni mehnat aur waqt ko zaaia nahi kerna chahte.
Jab insan dekhta he keh Quran e Kareem ko manne wali ummat is qaide per amal kerne mein shaded kotahi ka shikar he to isay sakht takleef hoti he. Aur is kotahi ki buhat sari shaklein hoti hein:
1)      Gher muslimon ke sath mamla kerte waqt: Quran e Kareem ki tilawat kerne wale per lazim he wo apne dil se pooche kia ham musulman is bat ke ziada haq dar nahi keh eesaiyon se ziada is qaide per amal karein?


Namaz Aur Masnoon Duaein Terjuma Ke Sath




bedaar hone ki duaein
tahajjud ke waqt berdaar hone per Hazoor SAWW ke mamool
bait ul khala jane ki dua
bait ul khala se nikalne ki dua
libas pehanne ki dua
naya libas pehanne ki dua
aainah dekhne ki dua
khana shiru kerne ki dua
khana kha lene ke bad ki dua
doodh peene ki dua
koi khana khilaey to us ke lie masnoon dua
mezbaan ke lie dua
koi acha salook kare to yeh kehna chahie
aftar ki duaein 
ghar se nikalne ki dua
ghar mein dakhil hone ki dua
seerhiyan ya bulandi cherhte, uterte waqt ki dua
bazar jane ki dua
sone se pehle tilawat Quran e pak ki fazeelat
sote waqt ki duaein o azkar
be khwabi ki dua

azkar e masnoona (page 21)
Subah ke azkar
subah o sham ke azkar
sham ke azkar
umoomi azkar




namaz aur mutalqa duaein (page 35)
azan ka jawab 
azan o iqamat ke dermyan ki dua
azan ke bad ki dua
wuzu se pehle ki dua
dooran wuzu ki dua
wuzu se farigh hone ke bad ki dua
masjid ki terf jate waqt ki dua
masjid mein dakhil hone ki dua
masjid se nikalne ki dua

namaz
Takbeer e Tahreema
Dua e Istaftah
tauwwaz
tasmiyah 
surah tul Fatiha
Ruki ki tasbeeh o duaein
ruku aur sajde ki mushtarik duaein
ruki se uthne aur qome ki duaein
sajde ki tasbeeh o duaein
do sajdon ke dermyan ki dua
sajda e tilawat
tashhad
durood shareef
akhri tashhad ki duaein
dono terf munh ker ke salam
dua e Qunoot
Qunoot e Nazlah
Namaz ke bad ke azkar
namaz ke bad ki duaein

Namaz e janazah aur mutalqa duaein (Page 55)
ayam e merz ka wazifah
merz ul maut ki dua
kalma o talqeen kalmah
jab rooh nikal jaey to aankhein band kerte waqt
namaz e janazah ki duaein
bache ki wafat per waldain ke lie khusoosi dua ki talqeen
na balghan ke janaze ki masoor duaein
bache ke janaze ki aik jame dua
qabar mein utarte waqt
dafan ke bad mayyat ke lie dua ki talqeen
dua e taziyat
ziyarat e qaboor ki dua


makhsoos mawaqe ki duaein (Page 65)
khatre ke waqt ki duaein
fikr aur pershani ke waqt ki duaein
masaib o mushkilat ke waqt ki dua
nuqsan aur musibat (ya gumshudgi) ke waqt ki dua
azdawaji zindagi ki duaein
ghusse ke waqt ki dua
bachon ko kin alfaz ke sath panah di jaey
jism mein derd hone ki soorat mein dua
mubtala e musibat per nazar perne per dua
adaigi qerz ki dua
ayadat ke waqt ki dua
barish talb kerne ki dua
badlon ke gerjne aur bijli chamakne ke waqt ki dua
aandhi aur taiz hawa ke waqt ki dua
badal aur barish ke waqt ki dua
barish baes nuqsan ban jaey to rokne ke lie dua
mahine ka naya chand dekhte waqt ki dua
koi tareef kare to azale ki dua
naiki ki tofeeq ya acha waqia roonma hone per
cheenk aane per dua
neend mein der jane ki dua
gadhe ki awaz sun ker parhe
zibah kerte waqt ki dua
qurbani kerne ki dua
hakim waqt ke zulam se hifazat ki dua
dua e istakhara
dua e hajat


Safar ki duaein (Page 77)
musafir ghar walon ko in alfaz mein dua de
ghar wale musafir ko is tarah dua dein
sawari per paon rakhte huwe kahe
sawari per bethne ke bad
doran e safar jab sawari kisi bulandi per charhe 
jab sawari kisi pasti mein utre
doran e safar kisi jagah theharne per kahe
safar se wapsi per


masnoon manajaat (Page 83)
masnoon manajaat
dawaat isteaazah
daur e fitan ki aik masoor dua



Qurani duaein (page 99)

Durood Shareef (page 110)