abhi kuch der baqi he!
abhi sote raho bhaai
abhi se kyun preshan ho?
abhi be rozgari ne
tumhare der peh dastak bhi nahi di he
tumhare bachay ki botel mein, ab tak doodh baqi he
tumhare gher mien rashan he, abhi faqay nahi hote
tumhare ahl e khana raat ko bhooke nahi sote
abhi sote raho bhai!
abhi se kyun preshan ho?
tumhara kuch nahi bigrha
tumhari walida hein mohtram ab bhi
keh un ki koi shab ab tak nahi guzari thaane mein!
tumhari behn ko ab tak koi "kaari" nahi kehta
shareek e zindagi ke khilte chehre per, kisi zaalim ne kab tezaab phenka he?
na dukhter naik akhter ne abhi tak ijtemaai ziadti ka kurb
jheela he
abhi sote raho bhaai!
abhi se kyun preshan ho?
tumhara kuch nahi bighra
bataao, kya kabhi lakht ejigar aghwa hua he
aur kabhi tum se kisi ne aaj tak tawan maanga he?
dhamake hote rehte hein magar ab tak
tumhara bhaai masjid se bakher o aafiyyat gher pohanch aata he
bhatija ab bhi in galiyun mein khelta aur khilata he
aur ab tak to kisi ne bhi usay ulata nahi taanga
na uski laash galiyun mein gaseeti he
abhi sote raho bhaai!
abhi se kyun preshan ho?
tumhara kuch nahi bighra
abhi se zulm ke afriyyat mein aur tum mein
thora fasla he!
aur abhi tum tak pohanchne mein
usay kuch waqt lagta he
abhi sote raho bhaai!
abhi kuch der baaqi he!!