jo shakhs logon ka shukriya ada nahi kerta
حضور صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:
جو شخص لوگوں کا شکریہ ادا نہیں کرتا وہ اللہ کا بھی شکر گزار نہیں ہوتا
(الترمذی)
Hazoor Saww ne fermaya:
jo shakhs logon ka shukriya ada nahi kerta woh Allah ka shuker guzar nahi hota
jo shakhs logon ka shukriya ada nahi kerta woh Allah ka shuker guzar nahi hota
(Al Tirmizi)
Naat Shareef (Hassan Nisar)
Naat Shareef
Hassan Nisar
Tere SAWW hote janam lia hota
koi mujh sa nah dusra hota
sans leta Tu SAWW aur mein ji uthta
kash Makkah ki mein fiza hota
hijraton mein parao hota mein
aur Tu SAWW kuch dair ko ruka hota
Tere SAWW hijre ke aas pas kahin
mein koi kacha rasta hota
beech Taaif bawaqat sang zani
Tere SAWW lab per saji dua hota
kisi ghazwa mein zakhmi ho ker mein
Tere SAWW qadmon mein ja gira hota
kash Uhad mein shareek ho sakta
aur baqi na phir bacha hota
Teri SAWW kamli ka soot kyun na huwa
Tere SAWW shanon peh jhoolta hota
chaub hota mein Teri SAWW chaukhat ki
ya Tere SAWW hath ka aasa hota
Teri SAWW pakeeza zindagi ka mein
koi gumnam waqia hota
lafz hota kisi mein aayat ka
jo Tere SAWW hont se adaa hota
mein koi jangju arab hota
aur Tere SAWW samne jhuka hota
mein bhi hota Tera SAWW ghulam koi
lakh kehta na mein riha hota
sochta hun tab janam lia hota
jane phir kia se kia huwa hota
Bad nazri.... Zina ki pehli seerhi
Badnazri... zina ki pehli seerhi
Maulana Shabeer Ahmad Usmani R.A. bad nazri ko zina ki pehli seerhi qarar dete huwe likhte hein:
"bad nazri amooman zina ki pehli seerhi he. isi se bare bare fawahish ka derwaza khulta he. Quran Kareem ne bad kaari aur be hayai ka insdad kerne ke lie awwal isi sorakh ko band kerna chaha. yeni musulman merd o aurat ko hukam diya keh bad nazri se bachein aur apni shahwaat ko qabu mein rakhein. agar aik mertaba be sakhta merd ki kisi ajnabi aurat per ya aurat ki kisi ajnabi merd per nazar perh jaey to dobara irada se us ki terf na dekhe. kyun keh yeh dobara dekhna is ke ikhtiyar se ho ga, jis mein wo mazoor nahi samjha ja sakta. agar aadmi nigah neechi rakhne ki aadat daal le aur ikhtiyar o irada se najaiz umoor ki terf nazar utha ker na dekhe to buhat jald is ke nafs ka tazkiya ho sakta he." (Tafseer Usmani)
بدنظری ...زنا کی پہلی سیڑھی
مولانا شبیر احمد عثمانی رحمتہ اللہ علیہ بدنظری کو زنا کی پہلی سیڑھی قرار دیتے ہوئے لکھتے ہیں :
"بدنظری عموماً زنا کی پہلی سیڑھی ہے۔اسی سے بڑے بڑے فواحش کا دروازہ کھلتا ہے ۔قرآن کریم نے بدکاری اور بےحیائی کا انسداد کرنے کے لئے اول اسی سوراخ کو بند کرنا چاہا۔ یعنی مسلمان مرد و عورت کو حکم دیا کہ بدنظری سے بچیں اور اپنی شہوات کو قابو میں رکھیں۔اگر ایک مرتبہ بے ساختہ مرد کی کسی اجنبی عورت پر یا عورت کی کسی اجنبی مرد پر نظر پڑ جائے تو دوبارہ ارادہ سے اس طرف نظر نہ کرے۔ کیونکہ یہ دوبارہ دیکھنا اس کے اختیار سے ہوگا، جس میں وہ معذور نہیں سمجھا جا سکتا۔ اگر آدمی نگاہ نیچی رکھنے کی عادت ڈال لے اور اختیار و ارادہ سے ناجائز امور کی طرف نظر اٹھا کر نہ دیکھے تو بہت جلد اس کے نفس کا تزکیہ ہو سکتا ہے۔" (تفسیر عثمانی)
Subscribe to:
Posts (Atom)