ہمیں صرف اور صرف ایسی تبدیلی کی ضرورت ہے
کیا انسان کے بنائے ہوئے
آئین اور قوانین انسانیت کو امن اور آشتی دے سکتے ہیں یا اس رب کے بنائے ہوئے
ضابطے جو تمام انسانوں کا خالق ہے۔ کیا
اللہ کی حاکمیت انسانوں کو امن چین اور سکون دے سکتی ہے یا انسانی حاکمیت۔ یاد رہے انسانی حاکمیت کے فلسفہ کے
تحت سائنس اور ٹیکنالوجی کی ترقی نے گزشتہ ایک صدی میں کتنی تباہی و بربادی
پھیلائی ہے اسکی مثال بقیہ انسانی تاریخ میں نہیں ملتی۔ اللہ کی حاکمیت ہمیں اخوت و محبت
شفقت و رحمت اور مساوات سکھاتی ہے۔ انسانی حاکمیت نے انسانوں میں تقسیم
اور باہمی خونریزی کے سوا کیا دیا۔ لہٰذا ہمیں صرف اس
تبدیلی کی ضرورت ہے کہ ہم اللہ کی حاکمیت کی طرف لوٹ جائیں، اسے ہی یہ حق حاصل ہے۔ ہماری ذمہ داری نیابت کی ہے، خلافت
کی ہے،حاکمیت کی نہیں۔ اللہ کی نیابت
کرنے والا انسان جب خلافت قائم کرے گا تو وہ انسانوں کے درمیان ڈنڈی نہیں مارے گا۔ہمیں صرف اور صرف ایسی تبدیلی کی
ضرورت ہے۔
www.AaoKamyaabikiTerf.blogspot.com
www.facebook.com/AaoKamyaabikiTerf
hamein sirf aur sirf aisi tabdeeli ki zaruret he
kia insan ke banaeey huwey aaein aur qawaneen insaniyat ko aman aur aashti de sakte hein ya us Rabb ke banaeey huwey zaabte jo tamam insano ka khaliq he. kia Allah ki hakmiyyat insano ko aman chain aur sakoon de sakti he ya insani hakmiyyat. yad rehe insani hakmiyyat ke falsafa ke teht science aur technology ki tarraqi ne guzishta aik saddi mein kitni tabahi o berbadi phelaai he uski misal baqiyah insani tareekh mein nahi milti, Allah ki hakmiyyat hamein akhuwwat o muhabbat shafqat o rahmat aur musawat sikhati he. insani hakmiyyat ne insano mein taqseem aur bahmi khoonrezi ke sawa kia dia. lehaza hamein sirf is tabdeeli ki zaruret he keh ham Allah ki hakmiyyat ki terf laut jaein, usay hi yeh haq hasil he. hamari zimmadari nayabat ki he, khilafat ki he, hakmiyyat ki nahi. Allah ki nayabat kerne wala insan jab khilafat qaaim kare ga to woh insano ke dermyan dandi nahi maare ga. hamein sirf aur sirf aisi tabdeeli ki zaruret he.

No comments:
Post a Comment